Aug 26, 2009

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya............

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak main meri hasthi mila kar gaya

Pyaas jiski sada mai bhujatha raha
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya

Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar per chala kar gaya

Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya

Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaya

Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya

Aarzoo thi "Yaaro" kisii ki mujhe,
Kwaab mere wahi to mita kar gaya

kuch khaas ho tum...........

Pyara-sa ehsaas ho tum,
Har pal dil ke paas ho tum,
Jeene ki ek aas ho tum,
Man ka vishvaas ho tum,
Shayad isliye kuch khaas ho tum.


Ham aapki yaad me udaas hai...
Bas aapse milne ki aas hai...
Chaahe dost kitne hi kyon na ho,
Apne liye to aap hi khaas hai.

wo............

Bahut chaha magar unhe bhula na sake,
Khayalo me kisi aur ko la na sake,
Unko dekhkar ansu to ponchh liye hum ne,
Par kisi aur ko dekh kar muskura na sake