Aug 27, 2009

sapno ki rani................

har roz mere khwabon mein ek chehra aata hai
neechi palkein bheegi palkein mujhe dekh kar sharmata hai

sayad woh mere liye bani hai
har waqt mera dil yehi farmata hai

neend mein mera din nikalta hai
aankh khulte hi mera dil ghabrata hai

raat ke intzar mein pura din nikalta hai
kab sham dhale kab aankh lage kab uska deedar ho

yakeen nahi hota ki koi andekha bhi apna ban jata hai
har roz mere khwabon mein ek chehra aata hai


.................this song dedicated to someone but i dont know who is she.

Kabhi alvida na kehna..............

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Jitni thi khushiyaa
Sab kho chuki hai
Bas ek gham hai ki jaata nahi
Samjha ke dekha behla ke dekha
Dil hai ki chain isko aata nahi
Aarzoo hai ki hai angarai
Aag hai kab aankhon se behna
Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Rut aa rahi hai Rut jaa rahi hai
Dard ka mausam badla nahi
Rang yeh halka itna hai gehra
Sadiyon main hoga halka nahi
Halka nahi
Kaun jaane kya hona hai
Hum ko hai ab kya kya sehna

Kabhi alvida na kehna
Kabhi alvida na kehna

Tum ko bhi hai khabar
Mujhko bhi hai pata
Ho raha hai judaa
Dono ka raasta
Dur jaake bhi mujhse tum meri yaadon main rehna
Kabhi alvida na kehna
kabhi alvida na kehna