Aug 10, 2009

ajnabi.........

Bahut chaha magar unhe bhula na sake,
khayalo me kisi aur ko la na sake,
Unko dekhkar ansu to ponch liye hum ne,
par kisi aur ko dekhakar muskura na sake.

jab kabhi hamara dil udas hota hai,
mere khayalon mein tera chehra paas hota hai.
bolta to kuch bhi nahi woh,
lekin uski khamoshi mein bhi kuch ehsaas hota hai.
gham akelepan ka mitta to nahi,
par aane wali khushi ka ehsaas to hota hai.

No comments:

Post a Comment