Khubsurat hai Zindagi Khwaab ki Tarah,
Jaane kub toot jaye Kaanch ki Tarah,
Kisi Mod pe Mulakat ho gayi humari,
Toh Aankhe mat mod lena Anjan Ki Tarah….
Ghum Main Mohabbat ko Bhula naa Dena,
Mere Pyaar Ko yu mita na dena,
Deewanoon se bhi jyada karta hoon mohabbat,
Gair keh ke muje Thukra na dena….
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge
No comments:
Post a Comment